Khalid
Mere wajood mein wafa ki roshni utaar de
Phir itna pyar de ke mujhe chahton mein maar de
Bahaut udaas tha to uth kar tere paas aagaya
Kuch aisi baat kar jo dil ko chain de qaraar de
Suna hai teri ik nazar sanwaarti hai zindagi
Jo ho sake to aaj meri zindagi sanwaar de!(mkm)
Khalid
Tu door hai mujh se aur paas bhi hai,
Teri kami mein kahin tera ehsaas bhi hai
Tujh se dost hain laakhon,jahan mein mere
Per tu dost bhi hai,aur khaas bhi hai
Tu ne khushiyan mujhe itni di hain ke aaj
Tujhe khone ka dil mein ehsaas bhi hai
Khuda ne yon nawaaza teri dosti se mujhe
Ke mujhe khud pe gumaan hai aur naaz bhi hai(mkm)
Yaad ro ro ke teri satati rahi
Aag judai ki dil ko jalati rahi
Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se
Shakh-e- gul apne sar ko jhukaati rahi
Apni mohabbat ki nakaamiyan kya kahoon
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi
Woh doosron se has has ke milte rahe
Meri he badkismati ashq bahati rahi
Ham wafa jinse karte rahe umar bhar
Hampe unki jafa muskurati rahi
Shayad kusur meri mohabbat ka he hai
Jo sab sehkar bhi unein chahti rahi (mkm)
Khalid
Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye
Dewane bane bhi to sirf tere liye
Kisi ko nahin dekheingi ab yeh aankhein
Nazrein tarseingi bhi to sirf tere liye
Her saans mein yaad kareinge tujhe
Ye saans nikle gi bhi to sirf tere liye
Her pyar se pyare lagte ho tum mujhe
Maine pyar seekha bhi to sirf tere liye(mkm)
Maa ne mujhe is tarah pala hai
Nakhuda ne kashti ko jaise toofan mein sambhala hai
Meri shararton se jo hansi us ke chehre par aai hai
Yeh saughat baharon ne bhi nahin paai hai
Us ki be-laus mohabbat ka mujh par jo saaya hai
Kisi rishte ne woh mokaam nahin paaya hai
Pakad kar haath mera jo chalna sikhaya hai
Aaj tak aisa rahbar main ne nahin paaya hai
Mere dukh se jo sailaab uski aankh mein aata hai
Samundar bhi us toofan ka taab nahin laata hai
Aashyane mein mere aaj aaram bahaut hai
Maa ke aanchal mein sakoon bahaut hai
Jiske pairon ke neeche jannat hai
Yeh khuda ki,hum sab ko sab se badi nehmat hai
Aa mujh ko phir ik baar seene se laga le maa
Apna chanda,apna suraj,apna raja, in naamo se bula le maa
Bahaut roya hoon main tere aanchal se bichar kar
Phir gud-gudiya karke woh bachpan wali mujhe,hasa le maa
Maa teri gaud ka mujhe woh sahara de de
Bartan mein jo dikhaati thi,woh sitara de de
Maa mujhe suna woh loriyan bachpan ki
Maa mujhe ik baar phir se woh nazara de de
Ban ke rahoon sadda tera laadla main
Teri gaud mein le kar mujhe,yeh jahan saara de de
Teri raahon mein main khud ko rakh doon
Maa mujhe tu khidmat karne ka phir ishara de de (mkm)